Main Shayar To Nahin Lyrics | Bobby

Main Shayar To Nahin Lyrics:- Shailendra Singh Sung A Song Main Shayar To Nahin From Bobby Movie Directed By Raj Kapoor Produced By Raj Kapoor

Main Shayar To Nahin Song Information

Main Shayar To Nahin Lyrics
FeaturingDimple Kapadia And Rishi Kapoor
MovieBobby
SongMain Shayar To Nahin
LyricsAnand Bakshi
MusicLaxmikant Pyarelal
SingerShailendra Singh

Main Shayar To Nahin Lyrics

Main shayar to nahin
Main shayar to nahin
Magar aye haseen jabse dekha
Maine tujhko mujhko shayari aa gayi

Main shayar to nahin
Magar aye haseen jabse dekha
Maine tujhko mujhko shayari aa gayi

Main aashiq to nahin
Magar aye haseen jabse dekha
Maine tujhko mujhko aashiqi aa gayi
Main shayar to nahin

Pyar ka naam maine suna tha magar
Pyar kya hai yeh mujhko nahin thi khabar

Pyar ka naam maine suna tha magar
Pyar kya hai yeh mujhko nahin thi khabar

Main to uljha raha uljhano ki tarah
Doston mein raha dushmano ki tarah
Main dushman to nahin

Main dushman to nahin
Magar aye haseen jabse dekha
Maine tujhko mujhko dosti aa gayi
Main shayar to nahin

Sochta hoon agar main dua mangta
Hath apne utha kar main kya mangta

Sochta hoon agar main dua mangta
Hath apne utha kar main kya mangta

Jabse tujhse mohabbat main karne laga
Tabse jaise ibaadat main karne laga
Main kafir to nahin
Main kafir to nahin
Magar aye haseen jabse dekha
Maine tujhko mujhko bandagi aa gayi

Main shayar to nahin
Magar aye haseen jabse dekha
Maine tujhko mujhko shayari aa gayi
Main shayar to nahin